sitamgaron ka sitam hum pe aam aaj bhi hai

sitamgaron ka sitam hum pe aam aaj bhi hai
Faisal Qadri Gunnauri
MORE BYFaisal Qadri Gunnauri
sitamgaroñ kā sitam ham pe 'aam aaj bhī hai
hamāre vāste har sub.h shaam aaj bhī hai
jinhoñ ne rāh-e-vafā meñ luTā diyā sab kuchh
vo mar ga.e haiñ magar un kā naam aaj bhī hai
unhoñ ne dil se hameñ duur kar diyā lekin
hamāre dil meñ to un kā qiyām aaj bhī hai
ta'alluqāt agar munqata' hue to kyā
hamārā un se du’ā-o-salām aaj bhī hai
mujhe ye haq bhī nahīñ hai ki haq kī baat kahūñ
zabāñ 'adū kī mire be-lagām aaj bhī hai
jo bad-ma'āsh haiñ chaltā hai raaj un kā to
sharīf logoñ kā jiinā harām aaj bhī hai
ye kis ne kah diyā āzād ham hue 'faisal'
hamārā dil to kisī kā ġhulām aaj bhī hai
sitamgaron ka sitam hum pe 'am aaj bhi hai
hamare waste har subh sham aaj bhi hai
jinhon ne rah-e-wafa mein luTa diya sab kuchh
wo mar gae hain magar un ka nam aaj bhi hai
unhon ne dil se hamein dur kar diya lekin
hamare dil mein to un ka qiyam aaj bhi hai
ta'alluqat agar munqata' hue to kya
hamara un se du’a-o-salam aaj bhi hai
mujhe ye haq bhi nahin hai ki haq ki baat kahun
zaban 'adu ki mere be-lagam aaj bhi hai
jo bad-ma'ash hain chalta hai raj un ka to
sharif logon ka jina haram aaj bhi hai
ye kis ne kah diya aazad hum hue 'faisal'
hamara dil to kisi ka ghulam aaj bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.