siwa is ke main aur kya chahta hun
sivā is ke maiñ aur kyā chāhtā huuñ
faqat dard-e-dil kī davā chāhtā huuñ
junūn-e-mohabbat ne ye din dikhāyā
ki duniyā meñ rusvā huā chāhtā huuñ
tumhārī hī chāhat tumhārā hī saudā
bas is ke sivā aur kyā chāhtā huuñ
sitam kī tire zabt kī apne zālim
bas ab intihā dekhnā chāhtā huuñ
jafāoñ kā 'sayyāf' huuñ un se ḳhvāhāñ
vafāoñ kā apnī sila chāhtā huuñ
siwa is ke main aur kya chahta hun
faqat dard-e-dil ki dawa chahta hun
junun-e-mohabbat ne ye din dikhaya
ki duniya mein ruswa hua chahta hun
tumhaari hi chahat tumhaara hi sauda
bas is ke siwa aur kya chahta hun
sitam ki tere zabt ki apne zalim
bas ab intiha dekhna chahta hun
jafaon ka 'sayyaf' hun un se KHwahan
wafaon ka apni sila chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.