siyah hoti hui raat par nazar rakhna
siyāh hotī huī raat par nazar rakhnā
har ek pahlū har ik baat par nazar rakhnā
na jaane kis ghaḌī koī ujaaḌ de bastī
ḳhudā ke vāste hālāt par nazar rakhnā
abhī jo dost haiñ dushman vo ban bhī sakte haiñ
tum un ke badle ḳhayālāt par nazar rakhnā
kahīñ girā na de kachche makān ko tere
bahut zarūrī hai barsāt par nazar rakhnā
badal na jaa.eñ kahīñ dekh kar sitamgar ko
tum apne aap ke jazbāt pe nazar rakhnā
fazā meñ zahr jo ghole zabān se apnī
tum aisī 'sād' har ik zaat pe nazar rakhnā
siyah hoti hui raat par nazar rakhna
har ek pahlu har ek baat par nazar rakhna
na jaane kis ghaDi koi ujaD de basti
KHuda ke waste haalat par nazar rakhna
abhi jo dost hain dushman wo ban bhi sakte hain
tum un ke badle KHayalat par nazar rakhna
kahin gira na de kachche makan ko tere
bahut zaruri hai barsat par nazar rakhna
badal na jaen kahin dekh kar sitamgar ko
tum apne aap ke jazbaat pe nazar rakhna
faza mein zahr jo ghole zaban se apni
tum aisi 'sad' har ek zat pe nazar rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.