siyah-KHana-e-dil mein ye kaun aaya hai
siyāh-ḳhāna-e-dil meñ ye kaun aaya hai
añdherī raat meñ taarā sā jhilmilāyā hai
jumūd-e-zehn kī dīvār ab to TūTegī
ḳhayāl-o-fikr kā panchhī jo phaḌphaḌāyā hai
ta'alluqāt kī Dorī na TuuT jaa.e kahīñ
isī ġharaz se use maiñ ne phir manāyā hai
hazār aur ḳhayāl uTh ke chhā ga.e dil par
jo ik ḳhayāl ko jhūlā kabhī jhulāyā hai
ise bhī 'chāñd' koī kaash aa ke Dhā jaa.e
jo aaj maiñ ne gharauñdā nayā banāyā hai
siyah-KHana-e-dil mein ye kaun aaya hai
andheri raat mein tara sa jhilmilaya hai
jumud-e-zehn ki diwar ab to TuTegi
KHayal-o-fikr ka panchhi jo phaDphaDaya hai
ta'alluqat ki Dori na TuT jae kahin
isi gharaz se use main ne phir manaya hai
hazar aur KHayal uTh ke chha gae dil par
jo ek KHayal ko jhula kabhi jhulaya hai
ise bhi 'chand' koi kash aa ke Dha jae
jo aaj main ne gharaunda naya banaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.