siyah nama-e-amal ek bahana tha
siyāh nāma-e-a.amāl ik bahāna thā
kisī tarīqe se maqsad mujhe jalānā thā
sunā rahā thā har ik naḳhl dāstāñ koī
har ik makān ke lab par koī fasāna thā
libās meñ vo hasīñ aur purkashish Thahre
sharīr nazroñ se jin ko badan chhupānā thā
jagā diyā thā use bhī azaan ke Dar ne
mujhe bhī sub.h-savere safar pe jaanā thā
bichhā huā thā samundar nigāh ke aage
chamaktī ret kā manzar bhī kyā suhānā thā
pahuñch rahā huuñ maiñ tāḳhīr se sar-e-manzil
ki qāfile ko mujhe saath le kar aanā thā
koī panāh mayassar hai aaj 'ḳhāvar' ko
na kal jahāñ meñ kahīñ qais kā Thikānā thā
siyah nama-e-amal ek bahana tha
kisi tariqe se maqsad mujhe jalana tha
suna raha tha har ek naKHl dastan koi
har ek makan ke lab par koi fasana tha
libas mein wo hasin aur purkashish Thahre
sharir nazron se jin ko badan chhupana tha
jaga diya tha use bhi azan ke Dar ne
mujhe bhi subh-sawere safar pe jaana tha
bichha hua tha samundar nigah ke aage
chamakti ret ka manzar bhi kya suhana tha
pahunch raha hun main taKHir se sar-e-manzil
ki qafile ko mujhe sath le kar aana tha
koi panah mayassar hai aaj 'KHawar' ko
na kal jahan mein kahin qais ka Thikana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.