siyah raat ke dariya ko par karte chalo
siyāh raat ke dariyā ko paar karte chalo
bas ek dūsre ko hoshiyār karte chalo
ufuq ke nuur se gar mutma.in na ho paao
nasīm-e-sub.h kā to e'tibār karte chalo
baTor laao zarā ḳhud ko chaar samtoñ se
safeñ banā ke baḌho ab qatār karte chalo
qayām tā.iro kuchh der mere āñgan meñ
tamām ghar ko mire ḳhush-gavār karte chalo
tumhārī baat se mujh ko to ittifāq nahīñ
muḳhālifoñ meñ mujhe bhī shumār karte chalo
usuul ek hī hotā hai sirf jañgal kā
shikār bante raho yā shikār karte chalo
jo saltanat hai tumhārī to lāzmī hai kyā
chaman tamām ko tum regzār karte chalo
ḳhulūs ḳharch karo haath khol kar 'saurabh'
luTāo pyaar dil-o-jāñ nisār karte chalo
siyah raat ke dariya ko par karte chalo
bas ek dusre ko hoshiyar karte chalo
ufuq ke nur se gar mutmain na ho pao
nasim-e-subh ka to e'tibar karte chalo
baTor lao zara KHud ko chaar samton se
safen bana ke baDho ab qatar karte chalo
qayam tairo kuchh der mere aangan mein
tamam ghar ko mere KHush-gawar karte chalo
tumhaari baat se mujh ko to ittifaq nahin
muKHalifon mein mujhe bhi shumar karte chalo
usul ek hi hota hai sirf jangal ka
shikar bante raho ya shikar karte chalo
jo saltanat hai tumhaari to lazmi hai kya
chaman tamam ko tum regzar karte chalo
KHulus KHarch karo hath khol kar 'saurabh'
luTao pyar dil-o-jaan nisar karte chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.