siyah raat ko rangin karne walon mein
siyāh raat ko rangīn karne vāloñ meñ
hamāre ḳhvāb bhī shāmil haiñ marne vāloñ meñ
kahāñ se hausla aaya hai jang laḌne kā
havā-e-sard kī aahaT se Darne vāloñ meñ
zarā shu'ūr jo hotā to baat bhī karte
falāh-e-'ām meñ taqrīr karne vāloñ meñ
bulandiyoñ pe khaḌe haiñ jo sab se aage the
gumān-o-vahm kā ziina utarne vāloñ meñ
batā.eñge kise mujrim ki ḳhud bhī shāmil haiñ
ham apnī ruuh kī tadfīn karne vāloñ meñ
siyah raat ko rangin karne walon mein
hamare KHwab bhi shamil hain marne walon mein
kahan se hausla aaya hai jang laDne ka
hawa-e-sard ki aahaT se Darne walon mein
zara shu'ur jo hota to baat bhi karte
falah-e-'am mein taqrir karne walon mein
bulandiyon pe khaDe hain jo sab se aage the
guman-o-wahm ka zina utarne walon mein
bataenge kise mujrim ki KHud bhi shamil hain
hum apni ruh ki tadfin karne walon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.