siyah raat mein ek aasman aa ke gira
siyāh raat meñ ik āsmān aa ke girā
phir us ke baa'd to saarā jahān aa ke girā
maiñ mauj mauj meñ pyāsā lahū lahū kā thā
vo tishna-kām mire darmiyān aa ke girā
bikharte TūTte lamhoñ kā raqs jaarī thā
bas us ke biich koī mehrbān aa ke girā
har ek khiḌkī meñ kitne dahakte sūraj the
hamāre ḳhvāb meñ kaisā makān aa ke girā
na mujh meñ sub.h thī koī na shaam hī Thahrī
shab-e-ḳhayāl kā ik ik nishān aa ke girā
dayār-e-shab meñ har ik chehrā be-nishāñ thā magar
navāh-e-jāñ meñ ye kis kā nishān aa ke girā
maiñ ḳhvāb chhoḌ ke niklā thā us se milne ko
chalā thā do hī qadam sā.ebān aa ke girā
maiñ apnī zaat kī pahnā.iyoñ meñ khoyā thā
kise ḳhabar kahāñ us kā gumān aa ke girā
numūd-e-shauq kā har rang dekhnā thā mujhe
isī liye to tire darmiyān aa ke girā
mirī nigāh meñ kaise sulagte ḳheme haiñ
pas-e-shu.ūr 'ajab imtihān aa ke girā
siyah raat mein ek aasman aa ke gira
phir us ke ba'd to sara jahan aa ke gira
main mauj mauj mein pyasa lahu lahu ka tha
wo tishna-kaam mere darmiyan aa ke gira
bikharte TuTte lamhon ka raqs jari tha
bas us ke bich koi mehrban aa ke gira
har ek khiDki mein kitne dahakte suraj the
hamare KHwab mein kaisa makan aa ke gira
na mujh mein subh thi koi na sham hi Thahri
shab-e-KHayal ka ek ek nishan aa ke gira
dayar-e-shab mein har ek chehra be-nishan tha magar
nawah-e-jaan mein ye kis ka nishan aa ke gira
main KHwab chhoD ke nikla tha us se milne ko
chala tha do hi qadam saeban aa ke gira
main apni zat ki pahnaiyon mein khoya tha
kise KHabar kahan us ka guman aa ke gira
numud-e-shauq ka har rang dekhna tha mujhe
isi liye to tere darmiyan aa ke gira
meri nigah mein kaise sulagte KHeme hain
pas-e-shuur 'ajab imtihan aa ke gira
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.