siyah shab ki balaon ke hath lag gae the
siyāh shab kī balāoñ ke haath lag ga.e the
mire charāġh havāoñ ke haath lag ga.e the
vo le ke katraneñ guḌiyā banāne lag ga.ī thī
ki shahr-zādī ko gaañv ke haath lag ga.e the
hamārī maut yaqīnī batā.ī jā rahī thī
hamāre ḳhat bhī ḳhudāoñ ke haath lag ga.e the
hamāre jism ki ghoḌoñ kī Tāpoñ meñ paḌe the
hamāre sar ki sināoñ ke haath lag ga.e the
zamīn-zāde zamīñ se laḌā.ī karne lage
ki un ke zehn ḳhalāoñ ke haath lag ga.e the
hamārī āñkheñ nazāroñ meñ qaid ho ga.iiñ thiiñ
hamāre kaan sadāoñ ke haath lag ga.e the
hamārī rañgateñ har aan piilī paḌ rahīñ thiiñ
hamārī dhuup ko chhāñv ke haath lag ga.e the
hamārī shāḳhoñ pe bas ḳhaar bach ga.e the 'safīr'
hamāre phuul ḳhizāoñ ke haath lag ga.e the
siyah shab ki balaon ke hath lag gae the
mere charagh hawaon ke hath lag gae the
wo le ke katranen guDiya banane lag gai thi
ki shahr-zadi ko ganw ke hath lag gae the
hamari maut yaqini batai ja rahi thi
hamare KHat bhi KHudaon ke hath lag gae the
hamare jism ki ghoDon ki Tapon mein paDe the
hamare sar ki sinaon ke hath lag gae the
zamin-zade zamin se laDai karne lage
ki un ke zehn KHalaon ke hath lag gae the
hamari aankhen nazaron mein qaid ho gain thin
hamare kan sadaon ke hath lag gae the
hamari rangaten har aan pili paD rahin thin
hamari dhup ko chhanw ke hath lag gae the
hamari shaKHon pe bas KHar bach gae the 'safir'
hamare phul KHizaon ke hath lag gae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.