siyah shab mein jo raushan diya sa lagta tha
siyāh shab meñ jo raushan diyā sā lagtā thā
vo shab-charāġh thā yā raushnī kā zarra thā
hisār-e-jism se bāhar nikalte kaise ham
badan meñ dard kā dariyā ke baad dariyā thā
vahāñ hayāt ke safhāt par nazar pahuñchī
darūn-e-ḳhāk jahāñ jism jism bikhrā thā
vo ban ke zaat meñ utrā davā-e-shohrat kal
mere ḳhilāf qalam ne jo zahr uglā thā
ab is makān meñ tanhā.iyoñ kā Derā hai
kabhī hamāre salaf kā bhī is se rishta thā
mujhe ḳhabar hai ki tanhā na thā safar meñ tū
mirā ḳhayāl tire saath saath chaltā thā
hamāre paas hī khoTā thā sikka-e-aḳhlāq
dukān-e-dost meñ varna ḳhulūs sastā thā
'asad' ko paḌh ke ye samjhā huuñ maiñ ba-qaul-e-'figār'
vo 'shād' aaj bhī tanhā hai kal bhī tanhā thā
siyah shab mein jo raushan diya sa lagta tha
wo shab-charagh tha ya raushni ka zarra tha
hisar-e-jism se bahar nikalte kaise hum
badan mein dard ka dariya ke baad dariya tha
wahan hayat ke safhat par nazar pahunchi
darun-e-KHak jahan jism jism bikhra tha
wo ban ke zat mein utra dawa-e-shohrat kal
mere KHilaf qalam ne jo zahr ugla tha
ab is makan mein tanhaiyon ka Dera hai
kabhi hamare salaf ka bhi is se rishta tha
mujhe KHabar hai ki tanha na tha safar mein tu
mera KHayal tere sath sath chalta tha
hamare pas hi khoTa tha sikka-e-aKHlaq
dukan-e-dost mein warna KHulus sasta tha
'asad' ko paDh ke ye samjha hun main ba-qaul-e-'figar'
wo 'shad' aaj bhi tanha hai kal bhi tanha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.