siyah shab mein wo chand jaisa sulagte din mein saba ho jaise
siyah shab mein wo chand jaisa sulagte din mein saba ho jaise
Irfan Jafari
MORE BYIrfan Jafari
siyāh shab meñ vo chāñd jaisā sulagte din meñ sabā ho jaise
qarīb rah kar bhī duur rahnā muqaddaroñ kā likhā ho jaise
ġhazab kī garmī thī jal gayā sab magar ye mahsūs ho rahā hai
ki ḳhvāhishoñ kā ye zard jangal kahīñ kahīñ pe harā ho jaise
hai ab bhī sāñsoñ kā aanā jaanā hai ab bhī raushan nigāh merī
ye zindagī jo maiñ jī rahā huuñ kisī ke dil kī duā ho jaise
badan sañbhāle bhaTak rahā huuñ maiñ be-jihat āsmāñ ke nīche
zamīñ nahīñ hai kahīñ bhī shāyad safar ḳhalā-dar-ḳhalā ho jaise
ye kis ko paane kī justujū thī ki har talab maiñ ne girvī rakh dī
ab apnā sab kuchh maiñ haar baiThā ye zindagī hī juā ho jaise
ajiib hai dil kā ye diyā bhī havā chale māh-o-sāl guzre
mujhe ye mahsūs ho rahā hai abhī abhī kuchh bujhā ho jaise
siyah shab mein wo chand jaisa sulagte din mein saba ho jaise
qarib rah kar bhi dur rahna muqaddaron ka likha ho jaise
ghazab ki garmi thi jal gaya sab magar ye mahsus ho raha hai
ki KHwahishon ka ye zard jangal kahin kahin pe hara ho jaise
hai ab bhi sanson ka aana jaana hai ab bhi raushan nigah meri
ye zindagi jo main ji raha hun kisi ke dil ki dua ho jaise
badan sanbhaale bhaTak raha hun main be-jihat aasman ke niche
zamin nahin hai kahin bhi shayad safar KHala-dar-KHala ho jaise
ye kis ko pane ki justuju thi ki har talab main ne girwi rakh di
ab apna sab kuchh main haar baiTha ye zindagi hi jua ho jaise
ajib hai dil ka ye diya bhi hawa chale mah-o-sal guzre
mujhe ye mahsus ho raha hai abhi abhi kuchh bujha ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.