siyahi phenk ke taswir par hamari wo
siyāhī pheñk ke tasvīr par hamārī vo
lagā ga.ī hai muqaddar pe zarb-e-kārī vo
jo chand ghūñT se hālat huī hai ab terī
hamesha ham pe rahī kaifiyat hai taarī vo
hasīn ḳhvāb thā dekhā magar ye yaad nahīñ
khilā gulāb thā yā shakl thī tumhārī vo
hamāre rashk-e-gulistāñ ne phir se vaañ jā kar
guloñ kī baaġh meñ 'izzat hai phir utārī vo
junūñ pe us ke to majnūñ bhī mahv-e-hairat hai
ki kī hai dasht meñ 'asġhar' ne ḳhāksārī vo
siyahi phenk ke taswir par hamari wo
laga gai hai muqaddar pe zarb-e-kari wo
jo chand ghunT se haalat hui hai ab teri
hamesha hum pe rahi kaifiyat hai tari wo
hasin KHwab tha dekha magar ye yaad nahin
khila gulab tha ya shakl thi tumhaari wo
hamare rashk-e-gulistan ne phir se wan ja kar
gulon ki bagh mein 'izzat hai phir utari wo
junun pe us ke to majnun bhi mahw-e-hairat hai
ki ki hai dasht mein 'asghar' ne KHaksari wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.