siyasi nafraton ki zad mein aaenge hamin kab tak
siyāsī nafratoñ kī zad meñ ā.eñge hamīñ kab tak
bhigo kar shaah rakkhegā lahū meñ āstīñ kab tak
ka.ī kankar vafā kī jhiil meñ maiñ pheñk aaya huuñ
ubhar kar sat.h pe ā.eñge dekheñ tah-nashīñ kab tak
bharam ke paañv kī zanjīr ko sach toḌ hī degā
kisī ke jhuuT par koī karegā bhī yaqīñ kab tak
rakhegā vaqt un ke rū-barū bhī aa.ina ik din
jahāñ ke aib hī dekhā kareñge nukta-chīñ kab tak
nigāhoñ se hī vo har shaḳhs ko kāfir banā degā
bachegī ye havas ke saa.e se rū-e-zamīñ kab tak
na jaane kab rihā is qaid se ham hoñge ai 'sāhil'
satā.eñge hamārī ziist ko ye kufr-o-dīñ kab tak
siyasi nafraton ki zad mein aaenge hamin kab tak
bhigo kar shah rakkhega lahu mein aastin kab tak
kai kankar wafa ki jhil mein main phenk aaya hun
ubhar kar sath pe aaenge dekhen tah-nashin kab tak
bharam ke panw ki zanjir ko sach toD hi dega
kisi ke jhuT par koi karega bhi yaqin kab tak
rakhega waqt un ke ru-baru bhi aaina ek din
jahan ke aib hi dekha karenge nukta-chin kab tak
nigahon se hi wo har shaKHs ko kafir bana dega
bachegi ye hawas ke sae se ru-e-zamin kab tak
na jaane kab riha is qaid se hum honge ai 'sahil'
sataenge hamari zist ko ye kufr-o-din kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.