so gae thak ke KHwab sine par
so ga.e thak ke ḳhvāb siine par
ūñghtī hai kitāb siine par
dhaḌkanoñ ko chalan sikhā diije
haath rakh deñ janāb siine par
tezī aatī hai dil ke dariyā meñ
TūTtā hai hubāb siine par
gale lag kar vo ro rahī hai aañkh
gir rahī hai sharāb siine par
roz piiTā hai us kī yādoñ ko
roz utre azaab siine par
aisī Dhalvānoñ par zarā mohtāt
rāsta hai ḳharāb siine par
ḳhaar chubhne lage haiñ sāñsoñ meñ
khil rahe haiñ gulāb siine par
so gae thak ke KHwab sine par
unghti hai kitab sine par
dhaDkanon ko chalan sikha dije
hath rakh den janab sine par
tezi aati hai dil ke dariya mein
TuTta hai hubab sine par
gale lag kar wo ro rahi hai aankh
gir rahi hai sharab sine par
roz piTa hai us ki yaadon ko
roz utre azab sine par
aisi Dhalwanon par zara mohtat
rasta hai KHarab sine par
KHar chubhne lage hain sanson mein
khil rahe hain gulab sine par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.