so gaya oDh ke phir shab ki qabaen suraj
so gayā oḌh ke phir shab kī qabā.eñ sūraj
jin ke dāman pe chhiḌaktā thā ziyā.eñ sūraj
aaj tak raakh sameTī nahīñ jaatī apnī
ham ne chāhā thā hathelī pe sajā.eñ sūraj
aañkh bujh jaa.e to ik jaise haiñ saare manzar
apnī bīnā.ī ke dam se haiñ ghaTā.eñ sūraj
merī palkoñ pe larazte hue aañsū motī
mere bujhte hue hoñToñ pe duā.eñ sūraj
zindagī jin kī ho sahrā kī masāfat 'shahbāz'
aise logoñ ko kabhī raas na aa.eñ sūraj
so gaya oDh ke phir shab ki qabaen suraj
jin ke daman pe chhiDakta tha ziyaen suraj
aaj tak rakh sameTi nahin jati apni
hum ne chaha tha hatheli pe sajaen suraj
aankh bujh jae to ek jaise hain sare manzar
apni binai ke dam se hain ghaTaen suraj
meri palkon pe larazte hue aansu moti
mere bujhte hue honTon pe duaen suraj
zindagi jin ki ho sahra ki masafat 'shahbaz'
aise logon ko kabhi ras na aaen suraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.