so ke uTThe to na dariya na jazira dekha
so ke uTThe to na dariyā na jazīra dekhā
bām-o-dar par vahī taqdīr kā likkhā dekhā
surma.ī dhund muñDeroñ pe nazar aa.ī thī
ham ne sūraj ke nagar meñ ye tamāshā dekhā
paash paash ek hī patthar meñ huā chāñd kā jism
jhiil meñ raat baḌā ḳhūn-ḳharāba dekhā
Dhak rahī thiiñ hameñ girdāb kī maujeñ jis vaqt
kitne logoñ ko kināre pe barahnā dekhā
ai 'shafaq' ek din uTThī thī ufuq se āñdhī
phir daraḳhtoñ pe koī phuul na pattā dekhā
so ke uTThe to na dariya na jazira dekha
baam-o-dar par wahi taqdir ka likkha dekha
surmai dhund munDeron pe nazar aai thi
hum ne suraj ke nagar mein ye tamasha dekha
pash pash ek hi patthar mein hua chand ka jism
jhil mein raat baDa KHun-KHaraba dekha
Dhak rahi thin hamein girdab ki maujen jis waqt
kitne logon ko kinare pe barahna dekha
ai 'shafaq' ek din uTThi thi ufuq se aandhi
phir daraKHton pe koi phul na patta dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.