so usko chhoD diya usne jab wafa nahin ki
so us ko chhoḌ diyā us ne jab vafā nahīñ kī
palaT ke ham ne koī us se iltijā nahīñ kī
jigar figār rahe qais se sivā lekin
ga.e na dasht ko aur chaak bhī qabā nahīñ kī
ḳhudā ko hāzir-o-nāzir samajh ke ye kah de
ki ham ne tujh se mohabbat meñ intihā nahīñ kī
magar tū phir bhī gila-mand hai to hotā rahe
ki ham ne tujh se vafā kī nahīñ to jā nahīñ kī
zarūrateñ to ka.ī tarah kī rahīñ darpesh
amīr-e-shahr ke dar par kabhī sadā nahīñ kī
ḳhafā kiyā hai ḳhudā ko to bār-hā lekin
ḳhudā kā shukr ḳhafā ḳhilqat-e-ḳhudā nahīñ kī
rahī hai dil hī meñ rūdād apne dukh kī sukūn
kahīñ kahā nahīñ kī aur kahīñ sunā nahīñ kī
so us ko chhoD diya us ne jab wafa nahin ki
palaT ke hum ne koi us se iltija nahin ki
jigar figar rahe qais se siwa lekin
gae na dasht ko aur chaak bhi qaba nahin ki
KHuda ko hazir-o-nazir samajh ke ye kah de
ki hum ne tujh se mohabbat mein intiha nahin ki
magar tu phir bhi gila-mand hai to hota rahe
ki hum ne tujh se wafa ki nahin to ja nahin ki
zaruraten to kai tarah ki rahin darpesh
amir-e-shahr ke dar par kabhi sada nahin ki
KHafa kiya hai KHuda ko to bar-ha lekin
KHuda ka shukr KHafa KHilqat-e-KHuda nahin ki
rahi hai dil hi mein rudad apne dukh ki sukun
kahin kaha nahin ki aur kahin suna nahin ki
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 30.06.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.