soch apni badal raha hun main
soch apnī badal rahā huuñ maiñ
kaf-e-afsos mal rahā huuñ maiñ
jo masarrat ko maat detī hai
fikr meñ aisī Dhal rahā huuñ maiñ
zulmat-e-shab meñ raushnī ke liye
sham.a kī tarah jal rahā huuñ maiñ
misl-e-gul ḳhush-nasīb huuñ kitnā
biich kāñToñ ke pal rahā huuñ maiñ
ātish-e-ġham lagī hai siine meñ
mom jaisā pighal rahā huuñ maiñ
zulm par ehtijāj lāzim hai
ḳhuun muñh se ugal rahā huuñ maiñ
ye bhī kār-e-jihād hai 'sāhil'
harf-e-haq par aTal rahā huuñ maiñ
soch apni badal raha hun main
kaf-e-afsos mal raha hun main
jo masarrat ko mat deti hai
fikr mein aisi Dhal raha hun main
zulmat-e-shab mein raushni ke liye
shama ki tarah jal raha hun main
misl-e-gul KHush-nasib hun kitna
bich kanTon ke pal raha hun main
aatish-e-gham lagi hai sine mein
mom jaisa pighal raha hun main
zulm par ehtijaj lazim hai
KHun munh se ugal raha hun main
ye bhi kar-e-jihad hai 'sahil'
harf-e-haq par aTal raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.