soch ka ek jalta sa diya hai
soch kā ik jaltā sā diyā hai
soyā huā dukh jaag uThā hai
chehra chehra bojh thakan kā
aadhe raste par baiThā hai
gahrī yādoñ kā sūraj bhī
dhīre dhīre Duub chalā hai
aag lagā kar apne ghar kā
koī tamāshā dekh rahā hai
ḳhālī haath aur ḳhālī chehre
paanī rasta DhūñDh rahā hai
kirnoñ kī matvālī fazā meñ
sūraj sā ik thaal gaḌā hai
raste jaate haiñ gaañv ko
shahr ne chehra badal liyā hai
mujh meñ koī bas jaa.e phir
ḳhālī kamra bol rahā hai
duur chaleñ 'maḳhdūm' yahāñ se
ik uḌte panchhī ne kahā hai
soch ka ek jalta sa diya hai
soya hua dukh jag uTha hai
chehra chehra bojh thakan ka
aadhe raste par baiTha hai
gahri yaadon ka suraj bhi
dhire dhire Dub chala hai
aag laga kar apne ghar ka
koi tamasha dekh raha hai
KHali hath aur KHali chehre
pani rasta DhunDh raha hai
kirnon ki matwali faza mein
suraj sa ek thaal gaDa hai
raste jate hain ganw ko
shahr ne chehra badal liya hai
mujh mein koi bas jae phir
KHali kamra bol raha hai
dur chalen 'maKHdum' yahan se
ek uDte panchhi ne kaha hai
- Book : siip (Magzin) (Pg. 272)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.