soch ki mauj-e-rawan le ke kidhar aai hai
soch kī mauj-e-ravāñ le ke kidhar aa.ī hai
ye samundar kā kināra hai ki gahrā.ī hai
kaun hai jis ne hilā Daalā mirā saarā vajūd
merī āvāz kis āvāz se Takrā.ī hai
shohrateñ had se guzar jaa.eñ to ye dhyān rahe
mausam-e-nāmvarī mausam-e-rusvā.ī hai
apne atrāf bahut bhiiḌ ke hote hue bhī
maiñ jahāñ huuñ vahāñ tanhā.ī hī tanhā.ī hai
us ke phaldār daraḳhtoñ pe na patthar pheñko
ye mire ghar kī nahīñ dard kī añgnā.ī hai
vo jo chup-chāp hai us ko nazar-andāz na kar
ḳhāmushī asl meñ sarmāya-e-dānā.ī hai
soch ki mauj-e-rawan le ke kidhar aai hai
ye samundar ka kinara hai ki gahrai hai
kaun hai jis ne hila Dala mera sara wajud
meri aawaz kis aawaz se Takrai hai
shohraten had se guzar jaen to ye dhyan rahe
mausam-e-namwari mausam-e-ruswai hai
apne atraf bahut bhiD ke hote hue bhi
main jahan hun wahan tanhai hi tanhai hai
us ke phaldar daraKHton pe na patthar phenko
ye mere ghar ki nahin dard ki angnai hai
wo jo chup-chap hai us ko nazar-andaz na kar
KHamushi asl mein sarmaya-e-danai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.