soch ki rah-guzar se aage hain
soch kī rah-guzar se aage haiñ
is liye rāhbar se aage haiñ
vo jidhar DhūñDte rahe ham ko
ham safar meñ udhar se aage haiñ
manzaroñ par yaqīn mat kiije
saare manzar nazar se aage haiñ
raat Dhalne kī yuuñ ḳhushī na manā
mā'rke ab sahar se aage haiñ
ghar jalā kar mirā haiñ ḳhauf-zada
jin ke ghar mere ghar se aage haiñ
Thos bātoñ pe hai yaqīñ apnā
ham agar aur magar se aage haiñ
ham jo pīchhe haiñ kuchh sabab hai 'riyāz'
aap to shor-o-shar se aage haiñ
soch ki rah-guzar se aage hain
is liye rahbar se aage hain
wo jidhar DhunDte rahe hum ko
hum safar mein udhar se aage hain
manzaron par yaqin mat kije
sare manzar nazar se aage hain
raat Dhalne ki yun KHushi na mana
ma'rke ab sahar se aage hain
ghar jala kar mera hain KHauf-zada
jin ke ghar mere ghar se aage hain
Thos baaton pe hai yaqin apna
hum agar aur magar se aage hain
hum jo pichhe hain kuchh sabab hai 'riyaz'
aap to shor-o-shar se aage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.