soch kya is ka mila kya aur kya matlub tha
soch kyā is kā milā kyā aur kyā matlūb thā
ḳhvāb hī Thahrā tū jitnī der dekhā ḳhuub thā
aag de de kar ba-hadd-e-āshiyāñ ye intiqām
tinkā tinkā kyoñ kisī ko is qadar mahbūb thā
vo nigāhoñ ke payām aur vo payāmoñ kī bahār
dekhiye merī taraf vo bhī zamāna ḳhuub thā
ab to saudā-e-mohabbat hai faqat dīvāngī
varna saudā-e-mohabbat kā bhī ik uslūb thā
kab khulā uqda 'razā' jab kar chuke iz.hār-e-shauq
mudda.ā jaa.ez thā harf-e-mudda.ā ma.ayūb thā
soch kya is ka mila kya aur kya matlub tha
KHwab hi Thahra tu jitni der dekha KHub tha
aag de de kar ba-hadd-e-ashiyan ye intiqam
tinka tinka kyon kisi ko is qadar mahbub tha
wo nigahon ke payam aur wo payamon ki bahaar
dekhiye meri taraf wo bhi zamana KHub tha
ab to sauda-e-mohabbat hai faqat diwangi
warna sauda-e-mohabbat ka bhi ek uslub tha
kab khula uqda 'raza' jab kar chuke izhaar-e-shauq
muddaa jaez tha harf-e-muddaa mayub tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.