soch rakkhi thin bahut baaten main ab bhul gaya
soch rakkhi thin bahut baaten main ab bhul gaya
Mohammad Shahid Firoz
MORE BYMohammad Shahid Firoz
soch rakkhī thiiñ bahut bāteñ maiñ ab bhuul gayā
rañg-e-mahfil hī kuchh aisā hai ki sab bhuul gayā
vo aziyyat thī ki din raat guzarte hī na the
phir huā yuuñ ki aziyyat kā sabab bhuul gayā
ye mirā sar ko jhaTaknā tujhe samjhātā nahīñ
kab tire sehr se niklā tujhe kab bhuul gayā
ek hī ruḳh pe paḌā ḳhud se maiñ uktāne lagā
itnā uktāyā ki jiine kī talab bhuul gayā
mujh ko ye fikr bhī rahtī ki vo sab dekhtā hai
mujh ko ye ġham bhī lagā rahtā ki rab bhuul gayā
tishnagī itnī ziyāda thī ki piite piite
ek dariyā ke bahāv pe maiñ lab bhuul gayā
kyā tujhe yaad nahīñ merā sadā.eñ denā
kyā mirī bāñheñ mirī chashm-e-talab bhuul gayā
dekhne vāloñ ne muḌ muḌ ke tujhe dekhā thā
jis ne bhī dekhā vahī hadd-e-adab bhuul gayā
dekh tujh ġham meñ giraftār huuñ itnā 'shāhid'
maiñ shab-e-hafta ke sab aish-o-tarab bhuul gayā
soch rakkhi thin bahut baaten main ab bhul gaya
rang-e-mahfil hi kuchh aisa hai ki sab bhul gaya
wo aziyyat thi ki din raat guzarte hi na the
phir hua yun ki aziyyat ka sabab bhul gaya
ye mera sar ko jhaTakna tujhe samjhata nahin
kab tere sehr se nikla tujhe kab bhul gaya
ek hi ruKH pe paDa KHud se main uktane laga
itna uktaya ki jine ki talab bhul gaya
mujh ko ye fikr bhi rahti ki wo sab dekhta hai
mujh ko ye gham bhi laga rahta ki rab bhul gaya
tishnagi itni ziyaada thi ki pite pite
ek dariya ke bahaw pe main lab bhul gaya
kya tujhe yaad nahin mera sadaen dena
kya meri banhen meri chashm-e-talab bhul gaya
dekhne walon ne muD muD ke tujhe dekha tha
jis ne bhi dekha wahi hadd-e-adab bhul gaya
dekh tujh gham mein giraftar hun itna 'shahid'
main shab-e-hafta ke sab aish-o-tarab bhul gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.