soch-samajh kar soch-samajh kar kaam karo
soch-samajh kar soch-samajh kar kaam karo
badal na jaa.e jab tak manzar kaam karo
muTThī-bhar logoñ ne nafrat boī thī
ug aa.e haiñ khet meñ ḳhanjar kaam karo
vaqt kaḌā hai jaan kī baazī hai darkār
dhaḌ par jab tak baaqī hai sar kaam karo
ek taraf mazlūm bhī haiñ majbūr bhī haiñ
ek taraf haiñ saare sitamgar kaam karo
vaqt ne phir ik shīsh-mahal tā'mīr kiyā
DhūñD ke laao kaam ke patthar kaam karo
vahshī darinde chīḳh rahe haiñ galiyoñ meñ
sahme hue haiñ saare kabūtar kaam karo
phir nadiyā mahrūm huī hai lahroñ se
jam' karo kuchh kankar patthar kaam karo
kal se bad-tar haal huā hai duniyā kā
kal se zyāda kal se behtar kaam karo
soch-samajh kar soch-samajh kar kaam karo
badal na jae jab tak manzar kaam karo
muTThi-bhar logon ne nafrat boi thi
ug aae hain khet mein KHanjar kaam karo
waqt kaDa hai jaan ki bazi hai darkar
dhaD par jab tak baqi hai sar kaam karo
ek taraf mazlum bhi hain majbur bhi hain
ek taraf hain sare sitamgar kaam karo
waqt ne phir ek shish-mahal ta'mir kiya
DhunD ke lao kaam ke patthar kaam karo
wahshi darinde chiKH rahe hain galiyon mein
sahme hue hain sare kabutar kaam karo
phir nadiya mahrum hui hai lahron se
jam' karo kuchh kankar patthar kaam karo
kal se bad-tar haal hua hai duniya ka
kal se zyaada kal se behtar kaam karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.