socha nahin be-KHauf-o-KHatar kaT diya hai
sochā nahīñ be-ḳhauf-o-ḳhatar kaaT diyā hai
us ne mirā har misra-‘e-tar kaaT diyā hai
naubat hī nahīñ aa.ī ki talvār uThāte
dīvār ne uThte hī vo ghar kaaT diyā hai
is darja aziyyat meñ thā sālār ki us ne
sotī huī shahzādī kā sar kaaT diyā hai
ham donoñ ne aapas meñ koī baat nahīñ kī
sharmāte hue saarā safar kaaT diyā hai
ab is se ziyāda to tujhe kuchh nahīñ kahnā
kaafī hai ki ham ne tirā par kaaT diyā hai
tasvīr meñ bhaTkā huā ik shaḳhs banā kar
har raste ko tā-hadd-e-nazar kaaT diyā hai
dīvār pe likkhā huā sab kaaT diyā thā
sab kaaTā huā bār-e-digar kaaT diyā hai
ye kaaTe hue peḌ faqat chhāñv nahīñ the
logoñ ne mirā saarā hunar kaaT diyā hai
socha nahin be-KHauf-o-KHatar kaT diya hai
us ne mera har misra-‘e-tar kaT diya hai
naubat hi nahin aai ki talwar uThate
diwar ne uThte hi wo ghar kaT diya hai
is darja aziyyat mein tha salar ki us ne
soti hui shahzadi ka sar kaT diya hai
hum donon ne aapas mein koi baat nahin ki
sharmate hue sara safar kaT diya hai
ab is se ziyaada to tujhe kuchh nahin kahna
kafi hai ki hum ne tera par kaT diya hai
taswir mein bhaTka hua ek shaKHs bana kar
har raste ko ta-hadd-e-nazar kaT diya hai
diwar pe likkha hua sab kaT diya tha
sab kaTa hua bar-e-digar kaT diya hai
ye kaTe hue peD faqat chhanw nahin the
logon ne mera sara hunar kaT diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.