socha tha gulshan ki fazaen hongi naghma-bar bahut
sochā thā gulshan kī fazā.eñ hoñgī naġhma-bār bahut
lekin jab dekhā to chaman meñ phuul the kam aur ḳhaar bahut
aane vaale aa bhī jā ye shaam hī shām-e-zīst na ho
aaj sahar se badlā huā hai rang-e-ruḳh-e-bīmār bahut
aise shā.ir aise rahbar aaj ziyāda haiñ jin meñ
azm-e-salīb-o-dār nadārad zikr-e-salīb-o-dār bahut
raat sar-e-mai-ḳhāna ham se kaj-rau nāseh uljhe the
ham hī kuchh chup ho ga.e varna baḌh jaatī takrār bahut
azm agar ho mustahkam to phir dasht-o-jabal kuchh chiiz nahīñ
nā-puḳhta ho azm-o-amal to ret kī bhī dīvār bahut
as.hāb-e-fikr-o-fan DhūñDo to daur-e-nau meñ kitne kam
da.avā-e-fan meñ yuuñ dekho to bātūnī fan-kār bahut
aaj mujhe tum kuchh bhī samjho lekin yaaro yaad rakho
ik din tum hī yaad karoge merā ḳhulūs aur pyaar bahut
yuuñ dekho to rāhbaroñ meñ kaise muḳhlis hote log
saath chalo to sābit hoñge muḳhlis kam ayyār bahut
vaqt paḌā jab ham par 'hairat' dukh kā saath koī na thā
yuuñ milte the qadam qadam par hamdard aur ġham-ḳhvār bahut
socha tha gulshan ki fazaen hongi naghma-bar bahut
lekin jab dekha to chaman mein phul the kam aur KHar bahut
aane wale aa bhi ja ye sham hi sham-e-zist na ho
aaj sahar se badla hua hai rang-e-ruKH-e-bimar bahut
aise shair aise rahbar aaj ziyaada hain jin mein
azm-e-salib-o-dar nadarad zikr-e-salib-o-dar bahut
raat sar-e-mai-KHana hum se kaj-rau naseh uljhe the
hum hi kuchh chup ho gae warna baDh jati takrar bahut
azm agar ho mustahkam to phir dasht-o-jabal kuchh chiz nahin
na-puKHta ho azm-o-amal to ret ki bhi diwar bahut
ashab-e-fikr-o-fan DhunDo to daur-e-nau mein kitne kam
dawa-e-fan mein yun dekho to baatuni fan-kar bahut
aaj mujhe tum kuchh bhi samjho lekin yaro yaad rakho
ek din tum hi yaad karoge mera KHulus aur pyar bahut
yun dekho to rahbaron mein kaise muKHlis hote log
sath chalo to sabit honge muKHlis kam ayyar bahut
waqt paDa jab hum par 'hairat' dukh ka sath koi na tha
yun milte the qadam qadam par hamdard aur gham-KHwar bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.