socha tha ishq hoga nahin ek pari ke baad
sochā thā ishq hogā nahīñ ik parī ke baa'd
par pyaas aur baḌh ga.ī hai us nadī ke baa'd
nākām ho jo ishq meñ to shā.erī karo
jādūgarī se kaam lo chāragarī ke baa'd
tab kyā karegā dost agar vo nahīñ milī
jo zindagī tū chāhtā hai ḳhud-kushī ke baa'd
phir bhī yaqīn kar rahā huuñ us ḳhudā pe maiñ
jo bebasī banā rahā hai aadmī ke baa'd
kuchh zaḳhm muskurāhaToñ ke aise rah ga.e
jaise ki tīrgī ke nishāñ chāñdnī ke baa'd
ye dil-jaloñ kī fauj mire saath jā.egī
kuchh bhī nahīñ bachegā yahāñ shā.erī ke baa'd
ham ishq se nikal chuke afsurdagī meñ haiñ
ik ajnabī ke saath haiñ ik ajnabī ke baa'd
socha tha ishq hoga nahin ek pari ke ba'd
par pyas aur baDh gai hai us nadi ke ba'd
nakaam ho jo ishq mein to shaeri karo
jadugari se kaam lo chaaragari ke ba'd
tab kya karega dost agar wo nahin mili
jo zindagi tu chahta hai KHud-kushi ke ba'd
phir bhi yaqin kar raha hun us KHuda pe main
jo bebasi bana raha hai aadmi ke ba'd
kuchh zaKHm muskurahaTon ke aise rah gae
jaise ki tirgi ke nishan chandni ke ba'd
ye dil-jalon ki fauj mere sath jaegi
kuchh bhi nahin bachega yahan shaeri ke ba'd
hum ishq se nikal chuke afsurdagi mein hain
ek ajnabi ke sath hain ek ajnabi ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.