sochiye dekh ke KHud apne garebanon mein
sochiye dekh ke ḳhud apne garebānoñ meñ
kitne tābūt saje rakkhe haiñ aivānoñ meñ
mahfileñ roz sajāte haiñ sajāne vaale
ḳhastagī aag lagā detī hai armānoñ meñ
haath bāñdhe hue dekhā hai khaḌe logoñ ko
shahriyat siikh rahe hoñge vo darbānoñ meñ
apnī nazroñ meñ hai vo qābil-e-sad-faḳhr ki jo
qissa-e-jaur-e-butāñ kahtā ho but-ḳhānoñ meñ
ham ne dekhe haiñ gulistāñ meñ haqā.eq kyā kyā
kuchh haiñ sairāb to kuchh be-sar-o-sāmānoñ meñ
'hāmid' ik chaa.e kī pyālī kī karāmāt na pūchh
pī ke do ghūñT pahuñch jaatā huuñ mai-ḳhānoñ meñ
sochiye dekh ke KHud apne garebanon mein
kitne tabut saje rakkhe hain aiwanon mein
mahfilen roz sajate hain sajaane wale
KHastagi aag laga deti hai armanon mein
hath bandhe hue dekha hai khaDe logon ko
shahriyat sikh rahe honge wo darbanon mein
apni nazron mein hai wo qabil-e-sad-faKHr ki jo
qissa-e-jaur-e-butan kahta ho but-KHanon mein
hum ne dekhe hain gulistan mein haqaeq kya kya
kuchh hain sairab to kuchh be-sar-o-samanon mein
'hamid' ek chae ki pyali ki karamat na puchh
pi ke do ghunT pahunch jata hun mai-KHanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.