socho to kuchh na samjho samjho to kuchh na bolo
socho to kuchh na samjho samjho to kuchh na bolo
phir chup kā husn dekho bekār lab na kholo
nauha-kunāñ havāo shola-ba-jāñ fazāo
dekho vo jā rahā hai jī bhar ke us ko ro lo
Daale raheñ basere ḳhvāboñ bhare añdhere
mahloñ kī aas rakkho kuTiyā ke paT na kholo
kauñde lapak rahe haiñ jazbe chamak rahe haiñ
sadiyāñ bilak rahī haiñ lamhoñ ko yuuñ na rolo
har fāsla baḌā hai har marhala kaḌā hai
sūraj agar hai pīchhe saa.e ke saath ho lo
gul huuñ bikhar na jā.ūñ pal huuñ guzar na jā.ūñ
takmīl kar lo apnī āġhosh meñ samo lo
duniyā faqat gumāñ hai sab kuchh darūn-e-jāñ hai
jaago zarūr 'ḳhālid' āñkheñ magar na kholo
socho to kuchh na samjho samjho to kuchh na bolo
phir chup ka husn dekho bekar lab na kholo
nauha-kunan hawao shola-ba-jaan fazao
dekho wo ja raha hai ji bhar ke us ko ro lo
Dale rahen basere KHwabon bhare andhere
mahlon ki aas rakkho kuTiya ke paT na kholo
kaunde lapak rahe hain jazbe chamak rahe hain
sadiyan bilak rahi hain lamhon ko yun na rolo
har fasla baDa hai har marhala kaDa hai
suraj agar hai pichhe sae ke sath ho lo
gul hun bikhar na jaun pal hun guzar na jaun
takmil kar lo apni aaghosh mein samo lo
duniya faqat guman hai sab kuchh darun-e-jaan hai
jago zarur 'KHalid' aankhen magar na kholo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.