socho to qayamat hai chhalawa hai bala hai
socho to qayāmat hai chhalāvā hai balā hai
dekho to faqat raah meñ naqsh-e-kaf-e-pā hai
maanā ki tire haq se tujhe kam hī milā hai
ye bhī kabhī sochā hai ki kyā tū ne diyā hai
maiñ qāfila-e-vaqt ke hamrāh chalūñ kyā
jo shaḳhs hai pīchhe kī taraf dekh rahā hai
auroñ ke taqābul meñ sadā past rahā huuñ
ye bhī mirī nā-karda-gunāhī kī sazā hai
ab apne hī maazī pe yaqīñ aa nahīñ paatā
lagtā hai ye qissa bhī kabhī maiñ ne sunā hai
duniyā ko jo chhoḌā thā to kuchh aur thā aalam
duniyā ko jo chāhā to ajab haal huā hai
is daur ko kyā sa.ī-e-hidāyat kī zarūrat
jis daur kā jo shaḳhs hai farzāna banā hai
ye bhī mirī qismat ki ulajh baiThā maiñ in meñ
kuchh aise amal jin kī sazā hai na jazā hai
us ġham ko bhalā kyoñ na maiñ siine se lagā.ūñ
vo ġham jo mire dost tirā husn-e-atā hai
mumkin ho to mil jaao kisī haal meñ ik baar
ab vaqt kā sūraj hai ki jo Duub rahā hai
'qādir' ko shikāyat nahīñ ġhairoñ kī ravish se
'qādir' ko to apnoñ hī ne māyūs kiyā hai
socho to qayamat hai chhalawa hai bala hai
dekho to faqat rah mein naqsh-e-kaf-e-pa hai
mana ki tere haq se tujhe kam hi mila hai
ye bhi kabhi socha hai ki kya tu ne diya hai
main qafila-e-waqt ke hamrah chalun kya
jo shaKHs hai pichhe ki taraf dekh raha hai
auron ke taqabul mein sada past raha hun
ye bhi meri na-karda-gunahi ki saza hai
ab apne hi mazi pe yaqin aa nahin pata
lagta hai ye qissa bhi kabhi main ne suna hai
duniya ko jo chhoDa tha to kuchh aur tha aalam
duniya ko jo chaha to ajab haal hua hai
is daur ko kya sai-e-hidayat ki zarurat
jis daur ka jo shaKHs hai farzana bana hai
ye bhi meri qismat ki ulajh baiTha main in mein
kuchh aise amal jin ki saza hai na jaza hai
us gham ko bhala kyon na main sine se lagaun
wo gham jo mere dost tera husn-e-ata hai
mumkin ho to mil jao kisi haal mein ek bar
ab waqt ka suraj hai ki jo Dub raha hai
'qadir' ko shikayat nahin ghairon ki rawish se
'qadir' ko to apnon hi ne mayus kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.