sochon ke ban-bas mein aaKHir kuchh to sujh hi jaega
sochoñ ke ban-bās meñ āḳhir kuchh to suujh hī jā.egā
ye rastoñ kā pech-o-ḳham ḳhud manzil bhī dikhlā.egā
mumkin hai ki tujh ko ab tak ḳhaak nazar na aatā ho
vaqt balā kā shātir hai vo chāleñ chaltā jā.egā
āñkheñ ro ro chamkā lī haiñ ujle manzar takne ko
sūraj par jo gard paḌī hai us ko kaun haTā.egā
saare achchhe mausam us kī ḳhvāhish meñ hī biit ga.e
kyā vo ab in zard rutoñ meñ mujh se milne aa.egā
sūkhe patte oḌh ke apne tan pe āñkheñ band kiye
soch rahā huuñ koī aa kar dīpak raag sunā.egā
terī merī aql ke naate aaj bhī haiñ 'sajjād' judā
jo maiñ baat samajh nahīñ paayā tū kaise batlā.egā
sochon ke ban-bas mein aaKHir kuchh to sujh hi jaega
ye raston ka pech-o-KHam KHud manzil bhi dikhlaega
mumkin hai ki tujh ko ab tak KHak nazar na aata ho
waqt bala ka shatir hai wo chaalen chalta jaega
aankhen ro ro chamka li hain ujle manzar takne ko
suraj par jo gard paDi hai us ko kaun haTaega
sare achchhe mausam us ki KHwahish mein hi bit gae
kya wo ab in zard ruton mein mujh se milne aaega
sukhe patte oDh ke apne tan pe aankhen band kiye
soch raha hun koi aa kar dipak rag sunaega
teri meri aql ke nate aaj bhi hain 'sajjad' juda
jo main baat samajh nahin paya tu kaise batlaega
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 565)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.