sochon ki gahri jhil mein utra hua hun main
sochoñ kī gahrī jhiil meñ utrā huā huuñ maiñ
pūchho na kis ḳhayāl meñ Duubā huā huuñ maiñ
kab tak mire vajūd kī DhūñDoge kirchiyāñ
shīshe kī tarah TuuT ke bikhrā huā huuñ maiñ
pursish zarūr hogī ye maidān-e-hashr meñ
maazī ko soch soch ke sahmā huā huuñ maiñ
kyā pūchhte ho mujh se dil-e-muzmahil kā haal
rañg-e-ḳhayāl-e-yār se bahlā huā huuñ maiñ
be-nām manziloñ kā pata kis se pūchhiye
'ashraf' ye kaisī raah meñ khoyā huā huuñ maiñ
sochon ki gahri jhil mein utra hua hun main
puchho na kis KHayal mein Duba hua hun main
kab tak mere wajud ki DhunDoge kirchiyan
shishe ki tarah TuT ke bikhra hua hun main
pursish zarur hogi ye maidan-e-hashr mein
mazi ko soch soch ke sahma hua hun main
kya puchhte ho mujh se dil-e-muzmahil ka haal
rang-e-KHayal-e-yar se bahla hua hun main
be-nam manzilon ka pata kis se puchhiye
'ashraf' ye kaisi rah mein khoya hua hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.