sochon ki palki mein biTha kar sutur ko
sochoñ kī pālkī meñ biThā kar sutūr ko
kāġhaz pe khīñch laayā huuñ jannat kī huur ko
sar par chaḌhā ke rakhtā huuñ mastī ke jaam se
ik sāñvle badan ke gulābī surūr ko
ik chīḳh mājre kī haqīqat batā ga.ī
ġhota lagā ke aanā thā kīchaḌ meñ nuur ko
miltī haiñ sub.h-o-shām tashaddud kī roTiyāñ
ġhurbat kī tang jail meñ bhūke ġhurūr ko
aise ġhazal ke chehre pe raunaq na aa.egī
lafzoñ ke reg-māl se ghisiye shu'ūr ko
sochon ki palki mein biTha kar sutur ko
kaghaz pe khinch laya hun jannat ki hur ko
sar par chaDha ke rakhta hun masti ke jam se
ek sanwle badan ke gulabi surur ko
ek chiKH majre ki haqiqat bata gai
ghota laga ke aana tha kichaD mein nur ko
milti hain subh-o-sham tashaddud ki roTiyan
ghurbat ki tang jail mein bhuke ghurur ko
aise ghazal ke chehre pe raunaq na aaegi
lafzon ke reg-mal se ghisiye shu'ur ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.