sochon mein lahu uchhaalte hain
sochoñ meñ lahū uchhālte haiñ
ham apnī tahoñ meñ jhāñkte haiñ
duniyā kī hazār nematoñ meñ
ham ek tujhī ko jānte haiñ
āñkhoñ se dukhoñ ke rañg āḳhir
sāras kī uḌaan uḌ ga.e haiñ
sāvan kī tarah hameñ bhigo kar
bādal kī tarah guzar ga.e haiñ
yuuñ bhī hai ki pyaar ke nashe meñ
kuchh soch ke log ro paḌe haiñ
vo dukh to ḳhushī ke baab meñ the
ye dukh jo tulū ho rahe haiñ
jo kuchh bhī hai dil ke aa.ine meñ
sab terī nazar ke zāviye haiñ
bahte hue do badan samundar
hoñToñ ke kināre aa mile haiñ
kuchh bhī to nahīñ hai paas 'ḳhāvar'
bas ek anā hai rat-jage haiñ
sochon mein lahu uchhaalte hain
hum apni tahon mein jhankte hain
duniya ki hazar nematon mein
hum ek tujhi ko jaante hain
aankhon se dukhon ke rang aaKHir
saras ki uDan uD gae hain
sawan ki tarah hamein bhigo kar
baadal ki tarah guzar gae hain
yun bhi hai ki pyar ke nashe mein
kuchh soch ke log ro paDe hain
wo dukh to KHushi ke bab mein the
ye dukh jo tulu ho rahe hain
jo kuchh bhi hai dil ke aaine mein
sab teri nazar ke zawiye hain
bahte hue do badan samundar
honTon ke kinare aa mile hain
kuchh bhi to nahin hai pas 'KHawar'
bas ek ana hai rat-jage hain
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 226)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.