sochon ne aarzuon se zebai chhin li
sochoñ ne ārzūoñ se zebā.ī chhīn lī
lamhāt-e-intishār ne dānā.ī chhīn lī
jab jhuuT kī giraft meñ qadreñ simaT ga.iiñ
mahrūmiyoñ ne ruuh se sachchā.ī chhīn lī
mash.hūr thiiñ zamāne meñ dil kī harārateñ
karb-e-talab ne saarī tavānā.ī chhīn lī
lamhoñ meñ jaise ek zamāna guzar gayā
sadiyoñ se jaise qurb be pahnā.ī chhīn lī
dānista be-niyāz haiñ 'sarshār' se janāb
yā bebasī ne 'aql se bīnā.ī chhīn lī
sochon ne aarzuon se zebai chhin li
lamhat-e-intishaar ne danai chhin li
jab jhuT ki giraft mein qadren simaT gain
mahrumiyon ne ruh se sachchai chhin li
mashhur thin zamane mein dil ki hararaten
karb-e-talab ne sari tawanai chhin li
lamhon mein jaise ek zamana guzar gaya
sadiyon se jaise qurb be pahnai chhin li
danista be-niyaz hain 'sarshaar' se janab
ya bebasi ne 'aql se binai chhin li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.