sochta hai kis liye tu mere yar de mujhe
sochtā hai kis liye tū mere yaar de mujhe
thak chukā huuñ nafratoñ se thoḌā pyaar de mujhe
kaun huuñ mujhe to apnā naam bhī patā nahīñ
koī merā naam le ke phir pukār de mujhe
in ḳhirad kī hīla-sāziyoñ se tū amaan de
daftar-e-junūñ meñ koī kārobār de mujhe
aaj apne hī muqāble pe DaT gayā huuñ maiñ
teġh koī bhej koī rāhvār de mujhe
is anā kī jañg meñ tū fat.h-yāb kar mujhe
ye sharaf bhī aaj mere shahsavār de mujhe
kuchh ḳhabar to de mire musāfiroñ kī a sabā
kuchh nishān-e-kūcha-hā-e-be-dayār de mujhe
TuuT kar bikhartā jā rahā huuñ is tarah se maiñ
kaash koī haath baḌh ke phir sañvār de mujhe
'shāhid'-e-navā-e-asr ke suḳhan kī qadr kar
lahja-e-sukūt harf-e-e'tibār de mujhe
sochta hai kis liye tu mere yar de mujhe
thak chuka hun nafraton se thoDa pyar de mujhe
kaun hun mujhe to apna nam bhi pata nahin
koi mera nam le ke phir pukar de mujhe
in KHirad ki hila-saziyon se tu aman de
daftar-e-junun mein koi karobar de mujhe
aaj apne hi muqable pe DaT gaya hun main
tegh koi bhej koi rahwar de mujhe
is ana ki jang mein tu fath-yab kar mujhe
ye sharaf bhi aaj mere shahsawar de mujhe
kuchh KHabar to de mere musafiron ki a saba
kuchh nishan-e-kucha-ha-e-be-dayar de mujhe
TuT kar bikharta ja raha hun is tarah se main
kash koi hath baDh ke phir sanwar de mujhe
'shahid'-e-nawa-e-asr ke suKHan ki qadr kar
lahja-e-sukut harf-e-e'tibar de mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.