sochta hun kahun jadui rang mein ek din na-gahan koi aisi ghazal
sochta hun kahun jadui rang mein ek din na-gahan koi aisi ghazal
Zahoor Minhas
MORE BYZahoor Minhas
sochtā huuñ kahūñ jādūī rang meñ ek din nā-gahāñ koī aisī ġhazal
sher paḌhte hue āsmāñ se utarne lageñ deviyāñ koī aisī ġhazal
koī aisī ġhazal khet meñ laḌkiyāñ phuul chunte hue gungunā.eñ jise
gungunā.eñ jise phuul chunte hue khet meñ laḌkiyāñ koī aisī ġhazal
kaash maiñ kah sakūñ apne rangīn ḳhvāboñ meñ Duubī huī laḌkiyāñ jab paḌheñ
aur paḌhte samay ḳhvāb gāhoñ meñ uḌne lageñ titliyāñ koī aisī ġhazal
ik taraf phuul aur ghaas charte hiran parbatoñ par dhanak : jaise painting lage
ik taraf munjamid ābshāroñ se girtī huī machhliyāñ koī aisī ġhazal
koī aisā suḳhan ek ik lafz meñ jis ke tāsīr ho magnet kī tarah
jab maiñ paḌhne lagūñ bhuul jaa.eñ dukāñ-dār sūd-o-ziyāñ koī aisī ġhazal
ye bhī mumkin hai urdu zabāñ meñ kahūñ aur duniyā ke fiction se behtar lage
aah bharne lageñ rashk karne lageñ kafka maupassant koī aisī ġhazal
sochta hun kahun jadui rang mein ek din na-gahan koi aisi ghazal
sher paDhte hue aasman se utarne lagen dewiyan koi aisi ghazal
koi aisi ghazal khet mein laDkiyan phul chunte hue gungunaen jise
gungunaen jise phul chunte hue khet mein laDkiyan koi aisi ghazal
kash main kah sakun apne rangin KHwabon mein Dubi hui laDkiyan jab paDhen
aur paDhte samay KHwab gahon mein uDne lagen titliyan koi aisi ghazal
ek taraf phul aur ghas charte hiran parbaton par dhanak : jaise painting lage
ek taraf munjamid aabshaaron se girti hui machhliyan koi aisi ghazal
koi aisa suKHan ek ek lafz mein jis ke tasir ho magnet ki tarah
jab main paDhne lagun bhul jaen dukan-dar sud-o-ziyan koi aisi ghazal
ye bhi mumkin hai urdu zaban mein kahun aur duniya ke fiction se behtar lage
aah bharne lagen rashk karne lagen kafka maupassant koi aisi ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.