sochta hun khaDa kinare par
sochtā huuñ khaḌā kināre par
chāñd par jā.ūñ yā sitāre par
mujh se aage nikal ga.e mire log
mujh ko ruknā paḌā ishāre par
ai bhañvar sirf ye ḳhayāl rahe
ek naav hai tere dhāre par
ham ne tūfāñ kā rāsta rokā
kaaT Daale ga.e hamāre par
bhuuk hai bhiik se nahīñ miTegī
māthā Teko na us duvāre par
ḳhasta dīvār terī umr darāz
maiñ chalā thā tire sahāre par
ik mohabbat pe ik mohabbat kī
ik ḳhasāra kiyā ḳhasāre par
naqd-e-jāñ jaisī besh-qīmat shai
ham luTāte rahe udhāre par
ek jhoñkā havā kā aa niklā
ham ne zulfoñ ke bal sañvāre par
kaisī bastī basā.ī hai tum ne
koī suntā nahīñ pukāre par
koī tasvīr ban nahīñ paa.ī
ham ne kāġhaz pe rang utāre par
bol saktā hai sun nahīñ saktā
ḳhaak ho aise miTTī-gāre par
ai ḳhudā kitnā be-niyāz hai tū
aadmī tujh pe jaan vaare par
aise sach pe hazār tohmat ho
jis ne gardan kaTā.ī aare par
sochta hun khaDa kinare par
chand par jaun ya sitare par
mujh se aage nikal gae mere log
mujh ko rukna paDa ishaare par
ai bhanwar sirf ye KHayal rahe
ek naw hai tere dhaare par
hum ne tufan ka rasta roka
kaT Dale gae hamare par
bhuk hai bhik se nahin miTegi
matha Teko na us duware par
KHasta diwar teri umr daraaz
main chala tha tere sahaare par
ek mohabbat pe ek mohabbat ki
ek KHasara kiya KHasare par
naqd-e-jaan jaisi besh-qimat shai
hum luTate rahe udhaare par
ek jhonka hawa ka aa nikla
hum ne zulfon ke bal sanware par
kaisi basti basai hai tum ne
koi sunta nahin pukare par
koi taswir ban nahin pai
hum ne kaghaz pe rang utare par
bol sakta hai sun nahin sakta
KHak ho aise miTTi-gare par
ai KHuda kitna be-niyaz hai tu
aadmi tujh pe jaan ware par
aise sach pe hazar tohmat ho
jis ne gardan kaTai aare par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.