sochta hun ki bhula dun usko
sochtā huuñ ki bhulā duuñ us ko
bebasī apnī batā duuñ us ko
yaar ke lab pe tabassum rakh ke
ashk piine kī sazā duuñ us ko
apnī hasrat kā janāza le kar
jā rahā huuñ ye batā duuñ us ko
apne hisse kī ḳhushī bhī de kar
ġham uThāne kī sazā duuñ us ko
dīn-o-īmāñ ke luTere haiñ bahut
sochtā huuñ ki jagā duuñ us ko
mere rone pe ḳhushī miltī hai
kyoñ na phir aaj hañsā duuñ us ko
vo 'dharam' mujh ko burā kahtā hai
aa.ina kyoñ na dikhā duuñ us ko
sochta hun ki bhula dun us ko
bebasi apni bata dun us ko
yar ke lab pe tabassum rakh ke
ashk pine ki saza dun us ko
apni hasrat ka janaza le kar
ja raha hun ye bata dun us ko
apne hisse ki KHushi bhi de kar
gham uThane ki saza dun us ko
din-o-iman ke luTere hain bahut
sochta hun ki jaga dun us ko
mere rone pe KHushi milti hai
kyon na phir aaj hansa dun us ko
wo 'dharam' mujh ko bura kahta hai
aaina kyon na dikha dun us ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.