sochta hun koi kitab likhun
sochtā huuñ koī kitāb likhūñ
jis meñ saare adhūre ḳhvāb likhūñ
kaise TeḌhe savāl pūchhe haiñ
koī batlā.e kyā javāb likhūñ
ye jo kāñTe haiñ merī rāhoñ meñ
tum kaho to inheñ gulāb likhūñ
itnā tujh ko to paḌh liyā maiñ ne
tai kiyā maiñ ne is pe baab likhūñ
kis qadar intishār hai tujh meñ
kyoñ na ab tujh ko iztirāb likhūñ
kis ko kis ko kiyā nahīñ hai yaad
kis kā kis kā bhalā hisāb likhūñ
'ilm se jis kā vāsta hī nahīñ
kaise us ko bhalā janāb likhūñ
itnā nādān maiñ nahīñ 'ahmad'
jo ḳhatāoñ ko bhī savāb likhūñ
sochta hun koi kitab likhun
jis mein sare adhure KHwab likhun
kaise TeDhe sawal puchhe hain
koi batlae kya jawab likhun
ye jo kanTe hain meri rahon mein
tum kaho to inhen gulab likhun
itna tujh ko to paDh liya main ne
tai kiya main ne is pe bab likhun
kis qadar intishaar hai tujh mein
kyon na ab tujh ko iztirab likhun
kis ko kis ko kiya nahin hai yaad
kis ka kis ka bhala hisab likhun
'ilm se jis ka wasta hi nahin
kaise us ko bhala janab likhun
itna nadan main nahin 'ahmad'
jo KHataon ko bhi sawab likhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.