sochta hun kya tha ab kya ho gaya
sochtā huuñ kyā thā ab kyā ho gayā
ik samundar kaise sahrā ho gayā
dhajjiyāñ uḌtī rahīñ tahzīb kī
pal meñ merā mulk nangā ho gayā
is siyāsat meñ jo Duube haiñ unheñ
sar uThāne kā vasīla ho gayā
aaj har qaid-e-siyāsat ke liye
kāġhazī logoñ kā pahrā ho gayā
phir kisī kā lams yaad aaya hameñ
phir koī ehsās tanhā ho gayā
ḳhvāb meñ dekhā thā 'zāhid' ik ḳhudā
aañkh khulte hī vo merā ho gayā
sochta hun kya tha ab kya ho gaya
ek samundar kaise sahra ho gaya
dhajjiyan uDti rahin tahzib ki
pal mein mera mulk nanga ho gaya
is siyasat mein jo Dube hain unhen
sar uThane ka wasila ho gaya
aaj har qaid-e-siyasat ke liye
kaghazi logon ka pahra ho gaya
phir kisi ka lams yaad aaya hamein
phir koi ehsas tanha ho gaya
KHwab mein dekha tha 'zahid' ek KHuda
aankh khulte hi wo mera ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.