sochta hun palaT kar kahan jaegi
sochtā huuñ palaT kar kahāñ jā.egī
diid manzar se haT kar kahāñ jā.egī
ḳhvāb bedār ho kar kahāñ jā.eñge
aur ta.abīr baT kar kahāñ jā.egī
jī rahā huuñ to darpesh hai zindagī
mar gayā to nimaT kar kahāñ jā.egī
maiñ aziyyat ke sahrā kā darvesh huuñ
ai udāsī palaT kar kahāñ jā.egī
mustaqil bas yahī soch hai yā ḳhudā
saarī duniyā simaT kar kahāñ jā.egī
Thiik se maiñ tujhe yaad hotā nahīñ
chhoḌ de aise raT kar kahāñ jā.egī
vaqt 'rāshid' guzar to rahā hai magar
ye ghaḌī pal se kaT kar kahāñ jā.egī
sochta hun palaT kar kahan jaegi
did manzar se haT kar kahan jaegi
KHwab bedar ho kar kahan jaenge
aur tabir baT kar kahan jaegi
ji raha hun to darpesh hai zindagi
mar gaya to nimaT kar kahan jaegi
main aziyyat ke sahra ka darwesh hun
ai udasi palaT kar kahan jaegi
mustaqil bas yahi soch hai ya KHuda
sari duniya simaT kar kahan jaegi
Thik se main tujhe yaad hota nahin
chhoD de aise raT kar kahan jaegi
waqt 'rashid' guzar to raha hai magar
ye ghaDi pal se kaT kar kahan jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.