sochte hain to kar guzarte hain
sochte haiñ to kar guzarte haiñ
ham to mañjdhār meñ utarte haiñ
maut se khelte haiñ ham lekin
ġhair kī bandagī se Darte haiñ
jaan apnī to hai hameñ bhī aziiz
phir bhī sho.aloñ pe raqs karte haiñ
dil-figāroñ se pūchh kar dekho
kitnī sadiyoñ meñ ghaav bharte haiñ
jin ko hai indimāl-e-zaḳhm aziiz
āmad-e-fasl-e-gul se Darte haiñ
chhup ke rote haiñ sab kī nazroñ se
jo gila hai vo ḳhud se karte haiñ
sochte hain to kar guzarte hain
hum to manjdhaar mein utarte hain
maut se khelte hain hum lekin
ghair ki bandagi se Darte hain
jaan apni to hai hamein bhi aziz
phir bhi shoalon pe raqs karte hain
dil-figaron se puchh kar dekho
kitni sadiyon mein ghaw bharte hain
jin ko hai indimal-e-zaKHm aziz
aamad-e-fasl-e-gul se Darte hain
chhup ke rote hain sab ki nazron se
jo gila hai wo KHud se karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.