sochte hain ye kahan pyar nibhane wale
sochte haiñ ye kahāñ pyaar nibhāne vaale
kaisī kaisī ye sazā deñge zamāne vaale
chāñd se kah do ki ġhash khā ke vo gir jā.egā
mujh se milne vo abhī chhat pe haiñ aane vaale
kyā guzartī hai tire aa ke chale jaane se
ye bhī soch ai mire armān jagāne vaale
shaam taptī hai bas ik tere nahīñ aane se
ye bhī sochā hai kabhī kah ke na aane vaale
miT gayā hotā maiñ kab kā mirī dushman duniyā
haath lambe haiñ bahut tere bachāne vaale
vo nujūmī vahī shā.ir vahī fankār bhī hai
'saif' ham kyā haiñ faqat dard sunāne vaale
sochte hain ye kahan pyar nibhane wale
kaisi kaisi ye saza denge zamane wale
chand se kah do ki ghash kha ke wo gir jaega
mujh se milne wo abhi chhat pe hain aane wale
kya guzarti hai tere aa ke chale jaane se
ye bhi soch ai mere arman jagane wale
sham tapti hai bas ek tere nahin aane se
ye bhi socha hai kabhi kah ke na aane wale
miT gaya hota main kab ka meri dushman duniya
hath lambe hain bahut tere bachane wale
wo nujumi wahi shair wahi fankar bhi hai
'saif' hum kya hain faqat dard sunane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.