sochte kya hain chhalakta jam le kar
sochte kyā haiñ chhalaktā jaam le kar
pīji.e us bevafā kā naam le kar
aa.e the to haath ḳhālī the hamāre
jā rahe haiñ saiñkaḌoñ ilzām le kar
ik diyā ghar meñ jalāyā thā use bhī
le gayā koī tumhārā naam le kar
dhuup aa saktī thī vo aatī nahīñ hai
kaun aa.egā yahāñ paiġhām le kar
kaaT liiñ darbār ne sab kī zabāneñ
bulbuleñ ḳhāmosh haiñ in.aam le kar
kaun sī gañgā nahāyā hai ye sūraj
jab bhī aayā hai to qatl-e-ām le kar
ab nahīñ koī zarūrat ham-safar kī
chal paḌā huuñ gardish-e-ayyām le kar
āshiyāñ hotā to hotā lauTnā bhī
kyā kare 'panchhī' avadh kī shaam le kar
sochte kya hain chhalakta jam le kar
pijie us bewafa ka nam le kar
aae the to hath KHali the hamare
ja rahe hain sainkaDon ilzam le kar
ek diya ghar mein jalaya tha use bhi
le gaya koi tumhaara nam le kar
dhup aa sakti thi wo aati nahin hai
kaun aaega yahan paigham le kar
kaT lin darbar ne sab ki zabanen
bulbulen KHamosh hain inam le kar
kaun si ganga nahaya hai ye suraj
jab bhi aaya hai to qatl-e-am le kar
ab nahin koi zarurat ham-safar ki
chal paDa hun gardish-e-ayyam le kar
aashiyan hota to hota lauTna bhi
kya kare 'panchhi' awadh ki sham le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.