sochte rahna yahi gham-KHwar se ho kar alag
sochte rahnā yahī ġham-ḳhvār se ho kar alag
koī tanhā rah gayā 'ansār' se ho kar alag
kātib-e-taqdīr ne likhnā thā jo vo likh diyā
ab kahāñ jā.ūñ salīb-o-dār se ho kar alag
ek lamhe meñ utar jā.egā barsoñ kā ḳhumār
kyā karoge apne hī kirdār se ho kar alag
soch meñ Duubā huā huuñ maiñ imārat ke qarīb
gir paḌī kyuuñ chhat dar-o-dīvār se ho kar alag
yuuñ ba-zāhir kar rahā hai vo ta.alluq se gurez
jī nahīñ saktā magar 'ansār' se ho kar alag
sochte rahna yahi gham-KHwar se ho kar alag
koi tanha rah gaya 'ansar' se ho kar alag
katib-e-taqdir ne likhna tha jo wo likh diya
ab kahan jaun salib-o-dar se ho kar alag
ek lamhe mein utar jaega barson ka KHumar
kya karoge apne hi kirdar se ho kar alag
soch mein Duba hua hun main imarat ke qarib
gir paDi kyun chhat dar-o-diwar se ho kar alag
yun ba-zahir kar raha hai wo talluq se gurez
ji nahin sakta magar 'ansar' se ho kar alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.