sochte rahne se kya qismat ka likkha jaega
sochte rahne se kyā qismat kā likkhā jā.egā
jo bhī honā thā huā jo hogā dekhā jā.egā
shahr kī sarhad talak pahuñchā ke sab ruḳhsat hue
ab yahāñ se bas mire ham-rāh sahrā jā.egā
ab koī dīvār us ke sāmne ruktī nahīñ
sail-e-girya ab mire roke na rokā jā.egā
kyā mirī āñkhoñ se duniyā ḳhud ko dekhegī kabhī
kyā kabhī merī tarah ik roz sochā jā.egā
jaan kī baazī lagā denī hai 'farruḳh' ab kī baar
tab kahīñ jā kar ye aa.e din kā jhagḌā jā.egā
sochte rahne se kya qismat ka likkha jaega
jo bhi hona tha hua jo hoga dekha jaega
shahr ki sarhad talak pahuncha ke sab ruKHsat hue
ab yahan se bas mere ham-rah sahra jaega
ab koi diwar us ke samne rukti nahin
sail-e-girya ab mere roke na roka jaega
kya meri aankhon se duniya KHud ko dekhegi kabhi
kya kabhi meri tarah ek roz socha jaega
jaan ki bazi laga deni hai 'farruKH' ab ki bar
tab kahin ja kar ye aae din ka jhagDa jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.