sochti hun mujhko har dam aazmata kaun hai
sochtī huuñ mujh ko har dam āzmātā kaun hai
muskurātī huuñ maiñ jab to dil dukhātā kaun hai
ajnabī sī ik sadā aatī hai aadhī raat ko
jab maiñ so jaatī huuñ to mujh ko jagātā kaun hai
amn ke na.are lagāte haiñ sabhī din meñ magar
raat ke pichhle pahar ghar ko jalātā kaun hai
maiñ kahānī likhne kī mushtāq rahtī huuñ magar
sher kahne kā hunar mujh ko sikhātā kaun hai
maañ manātī thī mujhe aksar baḌe hī pyaar se
ab agar maiñ rūThtī huuñ to manātā kaun hai
hañste hañste zālimoñ ne ghar ko vīrāñ kar diyā
dekhnā hai ujḌe ghar ko ab basātā kaun hai
maiñ ġhazal pyārī ġhazal kahtī hai ye mujh se ġhazal
mujh ko 'tal.at' achchhī dhun meñ gungunātā kaun hai
sochti hun mujh ko har dam aazmata kaun hai
muskuraati hun main jab to dil dukhata kaun hai
ajnabi si ek sada aati hai aadhi raat ko
jab main so jati hun to mujh ko jagata kaun hai
amn ke nare lagate hain sabhi din mein magar
raat ke pichhle pahar ghar ko jalata kaun hai
main kahani likhne ki mushtaq rahti hun magar
sher kahne ka hunar mujh ko sikhata kaun hai
man manati thi mujhe aksar baDe hi pyar se
ab agar main ruThti hun to manata kaun hai
hanste hanste zalimon ne ghar ko viran kar diya
dekhna hai ujDe ghar ko ab basata kaun hai
main ghazal pyari ghazal kahti hai ye mujh se ghazal
mujh ko 'talat' achchhi dhun mein gungunata kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.