soe pani ke tale Dube hue paikar likhen
so.e paanī ke tale Duube hue paikar likheñ
ā.īna-ḳhāne meñ guzrī sā.atoñ ke ghar likheñ
aañkh kī putlī meñ Thahrī ḳhvāhishoñ ke rañg se
jo na ho mahsūs aisī baat chehre par likheñ
dastakeñ detī hai kachche jism par mauj-e-sabā
vaqt ke āb-e-ravāñ pe aks ke paikar likheñ
bhīge hoñToñ par havā ke garm bose sabt haiñ
sard kamre meñ lahū ke dauḌte lashkar likheñ
ḳhvāhishoñ ke chāñd kā lambā safar tai ho gayā
ab akele-pan ke maidāñ meñ ghire mandar likheñ
muTThiyāñ kholīñ pasīne ke sivā kuchh bhī nahīñ
umr se baḌh kar purānī baat phir kyūñ-kar likheñ
jism ke qisse to ab 'ahmad' purāne ho ga.e
ab koī taaza rivāyat dil ke patthar par likheñ
soe pani ke tale Dube hue paikar likhen
aaina-KHane mein guzri saaton ke ghar likhen
aankh ki putli mein Thahri KHwahishon ke rang se
jo na ho mahsus aisi baat chehre par likhen
dastaken deti hai kachche jism par mauj-e-saba
waqt ke aab-e-rawan pe aks ke paikar likhen
bhige honTon par hawa ke garm bose sabt hain
sard kamre mein lahu ke dauDte lashkar likhen
KHwahishon ke chand ka lamba safar tai ho gaya
ab akele-pan ke maidan mein ghire mandar likhen
muTThiyan kholin pasine ke siwa kuchh bhi nahin
umr se baDh kar purani baat phir kyun-kar likhen
jism ke qisse to ab 'ahmad' purane ho gae
ab koi taza riwayat dil ke patthar par likhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.