soi hasrat ko jagane aa gae
soī hasrat ko jagāne aa ga.e
ḳhvāb phir mujh ko rijhāne aa ga.e
sādgī chehre pe apne oḌh kar
mujh se vo mujh ko churāne aa ga.e
tapte sahrā meñ the jo jhulsā diye
ḳhat purāne kyoñ bulāne aa ga.e
qissa-dar-qissa sadā chalte rahe
paañv meñ chhāloñ ke daane aa ga.e
zindagī jhūTe haiñ sab va.ade tere
sabr-o-himmat ko miTāne aa ga.e
ranj aur ḳhushiyoñ ke sab mele hameñ
'sārthī' jiinā sikhāne aa ga.e
soi hasrat ko jagane aa gae
KHwab phir mujh ko rijhane aa gae
sadgi chehre pe apne oDh kar
mujh se wo mujh ko churane aa gae
tapte sahra mein the jo jhulsa diye
KHat purane kyon bulane aa gae
qissa-dar-qissa sada chalte rahe
panw mein chhaalon ke dane aa gae
zindagi jhuTe hain sab wade tere
sabr-o-himmat ko miTane aa gae
ranj aur KHushiyon ke sab mele hamein
'sarthi' jina sikhane aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.